husn maghrur bhi hai mail bhi
husn maġhrūr bhī hai maa.il bhī
ishq sardār bhī hai saa.il bhī
sarfaroshān-e-shauq-o-mastī ko
naġhma hai shorish-e-salāsil bhī
jazb-e-kāmil jo dastgīr huā
to qarīb aa ga.ī hai manzil bhī
ek dil hai ḳhulūs-e-sar-tā-pā
hai yahī zindagī kā hāsil bhī
yahī mushkil to hai mohabbat meñ
ki ye āsān bhī hai mushkil bhī
haa.e us jalve kī ḳhud-ārā.ī
ki hai mastūr bhī muqābil bhī
'ḳhālid'-e-zamzama-sarā chup hai
aur andohgīñ hai mahfil bhī
husn maghrur bhi hai mail bhi
ishq sardar bhi hai sail bhi
sarfaroshan-e-shauq-o-masti ko
naghma hai shorish-e-salasil bhi
jazb-e-kaamil jo dastgir hua
to qarib aa gai hai manzil bhi
ek dil hai KHulus-e-sar-ta-pa
hai yahi zindagi ka hasil bhi
yahi mushkil to hai mohabbat mein
ki ye aasan bhi hai mushkil bhi
hae us jalwe ki KHud-arai
ki hai mastur bhi muqabil bhi
'KHalid'-e-zamzama-sara chup hai
aur andohgin hai mahfil bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.