husn mein mil gaya sharab ka rang
husn meñ mil gayā sharāb kā rang
uḌ gayā dekho mahtāb kā rang
rang badlā zarā añdheroñ ne
mar ga.ī aañkh le ke ḳhvāb kā rang
soch kar un ko yuuñ khilā aariz
sub.h-dam jaise āftāb kā rang
vo hue duur ishq ḳhushk huā
jaise panne meñ ho gulāb kā rang
jis tarah DhūñDhtī hai aañkh tumheñ
us meñ dikhtā hai iztirāb kā rang
pūchhtī huuñ yahī zamāne se
kaisā hotā hai yaar aab kā rang
muskurātā hai mere chehre par
aap ke husn-e-intiḳhāb kā rang
husn mein mil gaya sharab ka rang
uD gaya dekho mahtab ka rang
rang badla zara andheron ne
mar gai aankh le ke KHwab ka rang
soch kar un ko yun khila aariz
subh-dam jaise aaftab ka rang
wo hue dur ishq KHushk hua
jaise panne mein ho gulab ka rang
jis tarah DhunDhti hai aankh tumhein
us mein dikhta hai iztirab ka rang
puchhti hun yahi zamane se
kaisa hota hai yar aab ka rang
muskuraata hai mere chehre par
aap ke husn-e-intiKHab ka rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.