husn mein shan-e-kibriyai hai
husn meñ shān-e-kibriyā.ī hai
vo jidhar hai udhar ḳhudā.ī hai
pī rahā huuñ nigāh-e-sāqī se
merī rindī bhī pārsā.ī hai
ab tire dar se jā nahīñ saktā
ye atā-e-shikasta-pā.ī hai
āshnā āshnā se begāna
kyā ye dastūr-e-āshnā.ī hai
rāst-goī hai ek jurm yahāñ
haa.e kaisī tirī ḳhudā.ī hai
koī muñh se kahe kahe na kahe
sab haiñ ik zauq-e-ḳhud-numā.ī hai
tujh ko paayā to ye huā mahsūs
merī hastī tirī judā.ī hai
bhūltā hī nahīñ ḳhayāl un kā
ye ajab tarz-e-dilrubā.ī hai
dair-o-ka.aba unheñ mubārak ho
jin kī fitrat meñ jib.ha-sā.ī hai
rahnumā ban ke raah bhuul ga.e
vaah kyā ḳhuub rahnumā.ī hai
husn mein shan-e-kibriyai hai
wo jidhar hai udhar KHudai hai
pi raha hun nigah-e-saqi se
meri rindi bhi parsai hai
ab tere dar se ja nahin sakta
ye ata-e-shikasta-pai hai
aashna aashna se begana
kya ye dastur-e-ashnai hai
rast-goi hai ek jurm yahan
hae kaisi teri KHudai hai
koi munh se kahe kahe na kahe
sab hain ek zauq-e-KHud-numai hai
tujh ko paya to ye hua mahsus
meri hasti teri judai hai
bhulta hi nahin KHayal un ka
ye ajab tarz-e-dilrubai hai
dair-o-kaba unhen mubarak ho
jin ki fitrat mein jibha-sai hai
rahnuma ban ke rah bhul gae
wah kya KHub rahnumai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.