husn nikhra is qadar ki ishq farmane lage
husn nikhrā is qadar ki 'ishq farmāne lage
mujh ko kyā mā'lūm thā aafat ko apnāne lage
raaz chāhat un kī jānib se khule kuchh is tarah
paas un ke jab bhī pahuñchā duur vo jaane lage
mai-kada kyā chiiz hai ye ḳhvāb meñ dekhā nahīñ
jaane dil par kyā banī us dar pe bhī jaane lage
apne gesū is tarah bikhrā diye haiñ aap ne
raqs meñ aa.e sabhī tā.ūs aur gaane lage
zindagī ik naam hai zinda-dilī ke vāste
zindagī kā raaz jab pūchhā to samjhāne lage
laakh tadbīreñ 'hasan' ne kī bhulāne kī unheñ
bhūlnā to ġhair-mumkin thā vo yaad aane lage
husn nikhra is qadar ki 'ishq farmane lage
mujh ko kya ma'lum tha aafat ko apnane lage
raaz chahat un ki jaanib se khule kuchh is tarah
pas un ke jab bhi pahuncha dur wo jaane lage
mai-kada kya chiz hai ye KHwab mein dekha nahin
jaane dil par kya bani us dar pe bhi jaane lage
apne gesu is tarah bikhra diye hain aap ne
raqs mein aae sabhi taus aur gane lage
zindagi ek nam hai zinda-dili ke waste
zindagi ka raaz jab puchha to samjhane lage
lakh tadbiren 'hasan' ne ki bhulane ki unhen
bhulna to ghair-mumkin tha wo yaad aane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.