husn paband-e-hina ho jaise
husn pāband-e-hinā ho jaise
ye vafāoñ kā sila ho jaise
yuuñ vo karte haiñ kinārā mujh se
is meñ merā hī bhalā ho jaise
ta.ana dete haiñ mujhe jiine kā
zindagī merī ḳhatā ho jaise
is tarah aañkh se Tapkā hai lahū
shāḳh se phuul girā ho jaise
sar-e-kohsār vo bādal garjā
dil dhaḌakne kī sadā ho jaise
hāl-e-dil pūchhte ho yuuñ mujh se
tum mire dil se judā ho jaise
yaad yuuñ aa.ī tirī ruk ruk kar
koī zanjīr-ba-pā ho jaise
ab jafā ko bhī taraste haiñ 'razā'
yahī tāsīr-e-duā ho jaise
husn paband-e-hina ho jaise
ye wafaon ka sila ho jaise
yun wo karte hain kinara mujh se
is mein mera hi bhala ho jaise
tana dete hain mujhe jine ka
zindagi meri KHata ho jaise
is tarah aankh se Tapka hai lahu
shaKH se phul gira ho jaise
sar-e-kohsar wo baadal garja
dil dhaDakne ki sada ho jaise
haal-e-dil puchhte ho yun mujh se
tum mere dil se juda ho jaise
yaad yun aai teri ruk ruk kar
koi zanjir-ba-pa ho jaise
ab jafa ko bhi taraste hain 'raza'
yahi tasir-e-dua ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.