Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn par bojh hue uske hi wade ab to

Wali Alam Shaheen

husn par bojh hue uske hi wade ab to

Wali Alam Shaheen

MORE BYWali Alam Shaheen

    husn par bojh hue us ke vā'de ab to

    tark kar ai ġham-e-dil apne irāde ab to

    is qadar 'aam huī shahr meñ ḳhūñ-pairahnī

    nazar aate nahīñ be-dāġh libāde ab to

    Thahartā nahīñ mere liye phir zid kaisī

    qaid is ham-safarī bhī uThā de ab to

    peḌ ne saa.e ke harfoñ meñ likhā thā jis ko

    Dūbte chāñd vo tahrīr miTā de ab to

    soḳhta lamhe tujhe bār-e-safar hoñge

    raakh bhī apne ta'alluq uḌā de ab to

    ishtihār apnā liye phirtā huuñ qarya qarya

    kyā hai qīmat mirī ye koī batā de ab to

    ḳhud ko pahuñchā.ī hai kyā kyā na aziyyat maiñ ne

    koī 'shāhīn' mujhe is sazā de ab to

    husn par bojh hue us ke hi wa'de ab to

    tark kar ai gham-e-dil apne irade ab to

    is qadar 'am hui shahr mein KHun-pairahni

    nazar aate nahin be-dagh libaade ab to

    tu Thaharta nahin mere liye phir zid kaisi

    qaid is ham-safari ki bhi uTha de ab to

    peD ne sae ke harfon mein likha tha jis ko

    Dubte chand wo tahrir miTa de ab to

    soKHta lamhe tujhe bar-e-safar hi honge

    rakh bhi apne ta'alluq ki uDa de ab to

    ishtihaar apna liye phirta hun qarya qarya

    kya hai qimat meri ye koi bata de ab to

    KHud ko pahunchai hai kya kya na aziyyat main ne

    koi 'shahin' mujhe is ki saza de ab to

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now