husn-parasti hazrat-e-naseh aap ke bas ki baat nahin

husn-parasti hazrat-e-naseh aap ke bas ki baat nahin
Anwar Ali Khan Soz
MORE BYAnwar Ali Khan Soz
husn-parastī hazrat-e-nāseh aap ke bas kī baat nahīñ
apnā apnā zarf-e-nazar hai 'ishq-o-havas kī baat nahīñ
uf vo asiir rihā.ī jis kī bas meñ nahīñ sayyād ke bhī
qaid-e-vafā kā zikr hai hamdam dām-o-qafas kī baat nahīñ
qāfila-e-arbāb-e-junūñ meñ chhoḌ ke manzil ham kyoñ aa.e
vahshat dil kī majbūrī thī bāñg-e-jaras kī baat nahīñ
rahm na kījiye sun to lījiye itnā sitam bhī Thiik nahīñ
ahl-e-vafā kā afsāna hai mor-o-magas kī baat nahīñ
dil vāloñ kī sargardānī gulshan meñ bhauñroñ kī tarah
ḳhūn-e-jigar kā afsāna hai phuul ke ras kī baat nahīñ
madhoshī kī jo bhī sazā ho jaur-e-fuzūñ yā hijr-e-davām
aap ke aage hosh meñ rahnā apne bas kī baat nahīñ
ham pe sitam to Thiik hai yā-rab un kā dushman kyoñ hai jahāñ
lāla-o-gul kā haq hai chaman par ḳhār-o-ḳhas kī baat nahīñ
vādī-e-aiman ban saktī hai sho'la-e-nai se bazm-e-tarab
soz sarāpā ban jaatā hai soz-e-nafas kī baat nahīñ
abr-e-karam kā zikr na kījiye ātish-e-ġham hai qismat-soz
tā-dam-e-āḳhir jalnā hai do chaar baras kī baat nahīñ
husn-parasti hazrat-e-naseh aap ke bas ki baat nahin
apna apna zarf-e-nazar hai 'ishq-o-hawas ki baat nahin
uf wo asir rihai jis ki bas mein nahin sayyaad ke bhi
qaid-e-wafa ka zikr hai hamdam dam-o-qafas ki baat nahin
qafila-e-arbab-e-junun mein chhoD ke manzil hum kyon aae
wahshat dil ki majburi thi bang-e-jaras ki baat nahin
rahm na kijiye sun to lijiye itna sitam bhi Thik nahin
ahl-e-wafa ka afsana hai mor-o-magas ki baat nahin
dil walon ki sargardani gulshan mein bhaunron ki tarah
KHun-e-jigar ka afsana hai phul ke ras ki baat nahin
madhoshi ki jo bhi saza ho jaur-e-fuzun ya hijr-e-dawam
aap ke aage hosh mein rahna apne bas ki baat nahin
hum pe sitam to Thik hai ya-rab un ka dushman kyon hai jahan
lala-o-gul ka haq hai chaman par KHar-o-KHas ki baat nahin
wadi-e-aiman ban sakti hai sho'la-e-nai se bazm-e-tarab
soz sarapa ban jata hai soz-e-nafas ki baat nahin
abr-e-karam ka zikr na kijiye aatish-e-gham hai qismat-soz
ta-dam-e-aKHir jalna hai do chaar baras ki baat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.