husn takmil-e-tamanna hai saba ho jaana
husn takmīl-e-tamannā hai sabā ho jaanā
shahr-dar-shahr har ik dil kī ridā ho jaanā
paas aa aa ke har ik lamha bichhaḌnā terā
jaise ḳhushbū kā rag-e-gul se judā ho jaanā
is tarah TuuT ke barse haiñ garajte bādal
jaise jaagī huī āñkhoñ kī sadā ho jaanā
zindagī tū ne ka.ī rañg bhare haiñ paiham
zulf-e-shab-rañg kabhī rañg-e-hinā ho jaanā
kitne ban-bās liye phir bhī tire saath rahe
ham ne sochā hī nahīñ tujh se judā ho jaanā
husn-e-taḳhlīq bhī hai rif.at-e-insāñ bhī hai
azmat-e-dil hai har ik dil kī davā ho jaanā
sar-bulandī hai yahāñ shahr meñ zinda rahnā
sarfarāzī hai yahāñ rāh-numā ho jaanā
bujh ga.e rāh-e-tamannā meñ hazāroñ jugnū
tum mire vāste naqsh-e-kaf-e-pā ho jaanā
ye bhī mumkin nahīñ ai dost tū sab kī ḳhātir
chāñdnī ban ke kahīñ jalva-numā ho jaanā
khetiyāñ suukh ga.iiñ ḳhushk hue dil ke nagar
bāvar aayā hameñ paanī kā havā ho jaanā
husn takmil-e-tamanna hai saba ho jaana
shahr-dar-shahr har ek dil ki rida ho jaana
pas aa aa ke har ek lamha bichhaDna tera
jaise KHushbu ka rag-e-gul se juda ho jaana
is tarah TuT ke barse hain garajte baadal
jaise jagi hui aankhon ki sada ho jaana
zindagi tu ne kai rang bhare hain paiham
zulf-e-shab-rang kabhi rang-e-hina ho jaana
kitne ban-bas liye phir bhi tere sath rahe
hum ne socha hi nahin tujh se juda ho jaana
husn-e-taKHliq bhi hai rifat-e-insan bhi hai
azmat-e-dil hai har ek dil ki dawa ho jaana
sar-bulandi hai yahan shahr mein zinda rahna
sarfaraazi hai yahan rah-numa ho jaana
bujh gae rah-e-tamanna mein hazaron jugnu
tum mere waste naqsh-e-kaf-e-pa ho jaana
ye bhi mumkin nahin ai dost tu sab ki KHatir
chandni ban ke kahin jalwa-numa ho jaana
khetiyan sukh gain KHushk hue dil ke nagar
bawar aaya hamein pani ka hawa ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.