husn un ka apne zauq-e-did mein pata hun main
husn un ka apne zauq-e-did mein pata hun main
Ali Manzoor Hyderabadi
MORE BYAli Manzoor Hyderabadi
husn un kā apne zauq-e-dīd meñ paatā huuñ maiñ
sāmne ho kar vo chhupte haiñ taḌap jaatā huuñ maiñ
ishrat-e-jalva bhī ho jaa.e jahāñ hairat-zada
ai ḳhayāl-e-dost us manzil pe ghabrātā huuñ maiñ
dekhtā huuñ apne ġham-ḳhvāroñ kī jab be-dardiyāñ
husn-e-be-parda kī rah rah kar qasam khātā huuñ maiñ
intizār us kā hai kitnā jāñ-gusil kyūñkar kahūñ
ḳhat meñ jis kā naam hī likh kar taḌap jaatā huuñ maiñ
kab sambhalne degī ġhash se un kī chashm-e-barq-pāsh
muzhda bādā-e-be-ḳhudī aate haiñ vo jaatā huuñ maiñ
be-ḳhayālī meñ kabhī apnī zabān-e-hāl se
ḳhasta-hālī ke maze un ko bhī samjhātā huuñ maiñ
aah ab tak kī nahīñ sair-e-bahāristān-e-dil
ik ḳhayālī rau meñ ai hamdam bahā jaatā huuñ maiñ
hairat-afzā hai mirā ishq-e-mohabbat-āfrīñ
ḳhud hī ab muztar nahīñ un ko bhī taḌpātā huuñ maiñ
rāsta chhoḌ ai taġhāful mere ghar aate haiñ vo
rahbarī kar ai tamannā un ke ghar jaatā huuñ maiñ
hairat-e-mashq-e-tasavvur kho na de mujh ko kahīñ
sāmne apne tujhe ai dil-nashīñ paatā huuñ maiñ
lā rahī hai un kī chashm-e-lutf ishrat ke payām
dekh ai 'manzūr' ab kaisā nazar aatā huuñ maiñ
husn un ka apne zauq-e-did mein pata hun main
samne ho kar wo chhupte hain taDap jata hun main
ishrat-e-jalwa bhi ho jae jahan hairat-zada
ai KHayal-e-dost us manzil pe ghabraata hun main
dekhta hun apne gham-KHwaron ki jab be-dardiyan
husn-e-be-parda ki rah rah kar qasam khata hun main
intizar us ka hai kitna jaan-gusil kyunkar kahun
KHat mein jis ka nam hi likh kar taDap jata hun main
kab sambhalne degi ghash se un ki chashm-e-barq-pash
muzhda baada-e-be-KHudi aate hain wo jata hun main
be-KHayali mein kabhi apni zaban-e-haal se
KHasta-haali ke maze un ko bhi samjhata hun main
aah ab tak ki nahin sair-e-bahaaristan-e-dil
ek KHayali rau mein ai hamdam baha jata hun main
hairat-afza hai mera ishq-e-mohabbat-afrin
KHud hi ab muztar nahin un ko bhi taDpata hun main
rasta chhoD ai taghaful mere ghar aate hain wo
rahbari kar ai tamanna un ke ghar jata hun main
hairat-e-mashq-e-tasawwur kho na de mujh ko kahin
samne apne tujhe ai dil-nashin pata hun main
la rahi hai un ki chashm-e-lutf ishrat ke payam
dekh ai 'manzur' ab kaisa nazar aata hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.