husn wale bazm mein inkar hi karte rahe
husn vaale bazm meñ inkār hī karte rahe
ishq vaale ishq kā iz.hār hī karte rahe
jiinā marnā apnā ham dushvār hī karte rahe
un kī har ik baat kā iqrār hī karte rahe
ham ko dekho ham unhīñ par ho ga.e dil se fidā
jo hamārī zaat ko mismār hī karte rahe
tere dil meñ kaun hai ye to kabhī pūchhā nahīñ
jān-e-jāñ ham to tirā dīdār hī karte rahe
ham sadā chunte rahe sab ḳhaar jin kī raah se
vo hamārī raah ko pur-ḳhār hī karte rahe
mere apnoñ ne kiyā hai mujh pe ye kaisā sitam
vo mujhe us paar se is paar hī karte rahe
koī bhī un ke maraz kī lā nahīñ paayā davā
vo to chārāgar ko bhī bīmār hī karte rahe
chand lamhe bhī sukūñ ke mil na paa.e un ke saath
'faiz' ko vo dard se do-chār hī karte rahe
husn wale bazm mein inkar hi karte rahe
ishq wale ishq ka izhaar hi karte rahe
jina marna apna hum dushwar hi karte rahe
un ki har ek baat ka iqrar hi karte rahe
hum ko dekho hum unhin par ho gae dil se fida
jo hamari zat ko mismar hi karte rahe
tere dil mein kaun hai ye to kabhi puchha nahin
jaan-e-jaan hum to tera didar hi karte rahe
hum sada chunte rahe sab KHar jin ki rah se
wo hamari rah ko pur-KHar hi karte rahe
mere apnon ne kiya hai mujh pe ye kaisa sitam
wo mujhe us par se is par hi karte rahe
koi bhi un ke maraz ki la nahin paya dawa
wo to chaaragar ko bhi bimar hi karte rahe
chand lamhe bhi sukun ke mil na pae un ke sath
'faiz' ko wo dard se do-chaar hi karte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.