husn walon ki tabiat se haya nikli hai
husn vāloñ kī tabī.at se hayā niklī hai
ishq kī ḳhaak se ḳhushbu-e-vafā niklī hai
saañs niklī hai to kam-baḳht qazā niklī hai
maut kī kokh se jiine kī davā niklī hai
chāhe ārām de taklīf de us kā beTā
maañ ke dil se to hamesha hī duā niklī hai
chhoḌ kar apne har-ik kaam ko nikle bāhar
jab bhī masjid se mo.azzin kī sadā niklī hai
ḳhānqāhoñ pe barastī hai ki mai-ḳhānoñ par
baiTh kar dosh-e-havā par jo ghaTā niklī hai
jis ko samjhā thā masīhā tire bīmāroñ ne
us kī jholī se abhī naqlī davā niklī hai
ek duniyā huī āḳhir ko munavvar 'qaisar'
kamlī vaale ke madīne se ziyā niklī hai
husn walon ki tabiat se haya nikli hai
ishq ki KHak se KHushbu-e-wafa nikli hai
sans nikli hai to kam-baKHt qaza nikli hai
maut ki kokh se jine ki dawa nikli hai
chahe aaram de taklif de us ka beTa
man ke dil se to hamesha hi dua nikli hai
chhoD kar apne har-ik kaam ko nikle bahar
jab bhi masjid se moazzin ki sada nikli hai
KHanqahon pe barasti hai ki mai-KHanon par
baiTh kar dosh-e-hawa par jo ghaTa nikli hai
jis ko samjha tha masiha tere bimaron ne
us ki jholi se abhi naqli dawa nikli hai
ek duniya hui aaKHir ko munawwar 'qaisar'
kamli wale ke madine se ziya nikli hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.