husul-e-bandagi zahid agar dagh-e-jabin tak hai
husūl-e-bandagī zāhid agar dāġh-e-jabīñ tak hai
ye terī ḳhud-farebī ḳhud tire hadd-e-yaqīñ tak hai
kisī kā husn ḳhud rusvā huā hai donoñ aalam meñ
hamāre ishq kī duniyā jahāñ ham haiñ vahīñ tak hai
itāb-ālūda nazroñ se mujhe o dekhne vaale
ye merī zindagī terī nigāh-e-vāpsīñ tak hai
tasavvur bhī usī kā yaad us kī hai ḳhayāl us kā
ki us pe dil hī kyā qurbāñ mirī jān-e-hazīñ tak hai
'asar' ik din sunā.ūñgā usī ko hāl-e-dil apnā
rasā.ī merī ka.aba tak nahīñ ka.aba-nashīñ tak hai
husul-e-bandagi zahid agar dagh-e-jabin tak hai
ye teri KHud-farebi KHud tere hadd-e-yaqin tak hai
kisi ka husn KHud ruswa hua hai donon aalam mein
hamare ishq ki duniya jahan hum hain wahin tak hai
itab-aluda nazron se mujhe o dekhne wale
ye meri zindagi teri nigah-e-wapsin tak hai
tasawwur bhi usi ka yaad us ki hai KHayal us ka
ki us pe dil hi kya qurban meri jaan-e-hazin tak hai
'asar' ek din sunaunga usi ko haal-e-dil apna
rasai meri kaba tak nahin kaba-nashin tak hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.