hu ke aalam mein bhi ek shor sunai dega
hū ke 'ālam meñ bhī ik shor sunā.ī degā
jo samā'at ko bahut mīThā sujhā.ī degā
haif nafrat ke jazīroñ meñ bhaTakte rah kar
ek insān mohabbat kī duhā.ī degā
ek din log mohabbat se shanāsā hoñge
aur ye saaz bahut duur sunā.ī degā
ek duniyā mujhe rote hue ruḳhsat hogī
aur ik shaḳhs kahīñ bhī na dikhā.ī degā
go ki har samt meñ phailā hai añdherā 'bāsit'
koī hogā jo añdhere meñ dikhā.ī degā
hu ke 'alam mein bhi ek shor sunai dega
jo sama'at ko bahut miTha sujhai dega
haif nafrat ke jaziron mein bhaTakte rah kar
ek insan mohabbat ki duhai dega
ek din log mohabbat se shanasa honge
aur ye saz bahut dur sunai dega
ek duniya mujhe rote hue ruKHsat hogi
aur ek shaKHs kahin bhi na dikhai dega
go ki har samt mein phaila hai andhera 'basit'
koi hoga jo andhere mein dikhai dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.