hun amn ka daghi kabhi shorish ka sabab hun
huuñ amn kā dāġhī kabhī shorish kā sabab huuñ
maiñ mas.ala ḳhud apne liye ġhaur-talab huuñ
altāf bahut haiñ mire āzār bhī behad
kahne ko to kahiye ki faqat jumbish-e-lab huuñ
jab chāhūñgā tab chhīn ke le lūñgā mirā haq
phailā.e hue dast-e-talab tab thā na ab huuñ
kirdār kī azmat huuñ qanā.at hai mirā naam
nai dast-e-gadā.ī huuñ na dāmān-e-talab huuñ
insān huuñ hairat se takeñ jinn-o-malā.ik
maiñ mehr-o-mohabbat huuñ kabhī qahr-o-ġhazab huuñ
ik shaġhl hai merā jise kahte haiñ tafakkur
masrūf-e-mashaqqat huuñ na ārām-talab huuñ
fitrat mujhe dohrā.e azal se to abad tak
āġhāz-e-sahar hone ko huuñ āḳhir-e-shab huuñ
hote haiñ mazāmīn-o-ḳhayālāt mire paas
tanhā na mujhe jāniye maiñ bazm-e-adab huuñ
hālāt se shikva na muqaddar se gila hai
ai 'rāz' maiñ ḳhud apnī tabāhī kā sabab huuñ
hun amn ka daghi kabhi shorish ka sabab hun
main masala KHud apne liye ghaur-talab hun
altaf bahut hain mere aazar bhi behad
kahne ko to kahiye ki faqat jumbish-e-lab hun
jab chahunga tab chhin ke le lunga mera haq
phailae hue dast-e-talab tab tha na ab hun
kirdar ki azmat hun qanaat hai mera nam
nai dast-e-gadai hun na daman-e-talab hun
insan hun hairat se taken jinn-o-malaik
main mehr-o-mohabbat hun kabhi qahr-o-ghazab hun
ek shaghl hai mera jise kahte hain tafakkur
masruf-e-mashaqqat hun na aaram-talab hun
fitrat mujhe dohrae azal se to abad tak
aaghaz-e-sahar hone ko hun aaKHir-e-shab hun
hote hain mazamin-o-KHayalat mere pas
tanha na mujhe jaaniye main bazm-e-adab hun
haalat se shikwa na muqaddar se gila hai
ai 'raaz' main KHud apni tabahi ka sabab hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.