hun be-qarar maza kuchh nahin hai jine mein
huuñ be-qarār maza kuchh nahīñ hai jiine meñ
ḳhudā sukūn se baiThā hai mere siine meñ
mohabbatoñ se bharī farvarī meñ sochtā huuñ
chunā thā us ne bichhaḌnā bhī kis mahīne meñ
kisī ne haath lagāyā nahīñ ḳhazāne ko
hamārī teġh gaḌī dekh kar dafīne meñ
hamārī uñglī katarne lagī añgūThī vo
kisī kā aks ubharne lagā nagīne meñ
shikast aisī thī hairān rah gayā tūfāñ
ki maiñ ne chhed kiyā ḳhud mire safīne meñ
hun be-qarar maza kuchh nahin hai jine mein
KHuda sukun se baiTha hai mere sine mein
mohabbaton se bhari farwari mein sochta hun
chuna tha us ne bichhaDna bhi kis mahine mein
kisi ne hath lagaya nahin KHazane ko
hamari tegh gaDi dekh kar dafine mein
hamari ungli katarne lagi anguThi wo
kisi ka aks ubharne laga nagine mein
shikast aisi thi hairan rah gaya tufan
ki main ne chhed kiya KHud mere safine mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.