hun dafn mar ke kucha-e-jaanan ke samne
hun dafn mar ke kucha-e-jaanan ke samne
Munshi Shiv Parshad Wahbi
MORE BYMunshi Shiv Parshad Wahbi
huuñ dafn mar ke kūcha-e-jānāñ ke sāmne
bulbul kā āshiyāñ ho gulistāñ ke sāmne
sharmā.e ashk-e-ḳhūñ se gul-e-tar bahār meñ
rang-e-chaman uḌā mire dāmāñ ke sāmne
qumrī ko pā-ba-gil nazar aatā hai sharm se
shamshād mere sarv-e-ḳhirāmāñ ke sāmne
gar ḳhatt-e-sabz lab pe tire ḳhizr dekh paa.e
phir muñh kare na chashma-e-haivāñ ke sāmne
nazroñ meñ jauharī ke ḳhazaf-reze ban ga.e
la.al-e-jigar tire lab-o-dandāñ ke sāmne
dekhe jo us parī se mujhe garm-e-iḳhtilāt
bilqīs muñh kare na sulaimāñ ke sāmne
muusā nahīñ jo aañkh jhapak jā.egī mirī
aa.eñ huzūr dīda-e-hairāñ ke sāmne
rote haiñ ham idhar vo udhar sunte haiñ khaḌe
bijlī chamak rahī hai ye bārāñ ke sāmne
sadqe vo sar ke hogā abhī kaisī hamsarī
kholo to baal sumbul-e-pechāñ ke sāmne
ghunDī pe ho qabā ke nisār aḳhtar-e-falak
sajde kare hilāl garebāñ ke sāmne
aage mire raqīb ko dete ho gāliyāñ
fiqre ye kījiye kisī nādāñ ke sāmne
ai gul chaman meñ baat kī bulbul ko kyā majāl
ġhunche na kholeñ muñh lab-e-ḳhandāñ ke sāmne
muusā kī tarah tum ko bhī aa.e na ġhash kahīñ
'vahbī' na jaao āriz-e-tābāñ ke sāmne
hun dafn mar ke kucha-e-jaanan ke samne
bulbul ka aashiyan ho gulistan ke samne
sharmae ashk-e-KHun se gul-e-tar bahaar mein
rang-e-chaman uDa mere daman ke samne
qumri ko pa-ba-gil nazar aata hai sharm se
shamshad mere sarw-e-KHiraman ke samne
gar KHatt-e-sabz lab pe tere KHizr dekh pae
phir munh kare na chashma-e-haiwan ke samne
nazron mein jauhari ke KHazaf-reze ban gae
lal-e-jigar tere lab-o-dandan ke samne
dekhe jo us pari se mujhe garm-e-iKHtilat
bilqis munh kare na sulaiman ke samne
musa nahin jo aankh jhapak jaegi meri
aaen huzur dida-e-hairan ke samne
rote hain hum idhar wo udhar sunte hain khaDe
bijli chamak rahi hai ye baran ke samne
sadqe wo sar ke hoga abhi kaisi hamsari
kholo to baal sumbul-e-pechan ke samne
ghunDi pe ho qaba ke nisar aKHtar-e-falak
sajde kare hilal gareban ke samne
aage mere raqib ko dete ho galiyan
fiqre ye kijiye kisi nadan ke samne
ai gul chaman mein baat ki bulbul ko kya majal
ghunche na kholen munh lab-e-KHandan ke samne
musa ki tarah tum ko bhi aae na ghash kahin
'wahbi' na jao aariz-e-taban ke samne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.