hun gham-ashna aashna-e-mohabbat
huuñ ġham-āshnā āshnā-e-mohabbat
do-ālam meñ yuuñ jagmagā.e mohabbat
azal se huī ibtidā-e-mohabbat
abad tak rahegī baqā-e-mohabbat
mohabbat ke naġhme haiñ un ke laboñ par
bahut hī hasīñ hai fazā-e-mohabbat
dil-e-muztarib par girā.ī thī bijlī
qayāmat thī vo ik adā-e-mohabbat
azal se abad tak chalā jā rahā hai
julūs-e-shahīdāñ ḳhudā-e-mohabbat
na furqat kā yaarā na qurbat gavārā
na jaane hai kyā mudda.ā-e-mohabbat
merā dīn-o-īmāñ mohabbat mohabbat
banā.e mohabbat miTā.e mohabbat
tamāshā bane haiñ vahī 'dard' aksar
bane haiñ jo ḳhud rahnumā-e-mohabbat
hun gham-ashna aashna-e-mohabbat
do-alam mein yun jagmagae mohabbat
azal se hui ibtida-e-mohabbat
abad tak rahegi baqa-e-mohabbat
mohabbat ke naghme hain un ke labon par
bahut hi hasin hai faza-e-mohabbat
dil-e-muztarib par girai thi bijli
qayamat thi wo ek ada-e-mohabbat
azal se abad tak chala ja raha hai
julus-e-shahidan KHuda-e-mohabbat
na furqat ka yara na qurbat gawara
na jaane hai kya muddaa-e-mohabbat
mera din-o-iman mohabbat mohabbat
banae mohabbat miTae mohabbat
tamasha bane hain wahi 'dard' aksar
bane hain jo KHud rahnuma-e-mohabbat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.