hun main bhi shoabada koi duniya ke samne
huuñ maiñ bhī sho.abada koī duniyā ke sāmne
hairān ho rahī hai mujhe pā ke sāmne
zarre ne aaj apnī haqīqat ko pā liyā
zarra na sar-nigūñ huā sahrā ke sāmne
uksā rahī hai koī ḳhalish der se mujhe
rakh dil sā phuul ḳhār-e-tamannā ke sāmne
ḳhalvat meñ kar rahā thā gunāhoñ kā e'tirāf
hoñToñ ko vā na kar sakā duniyā ke sāmne
'āsif' tamām marhale āsān ho ga.e
Thahrī na ik chaTān bhī dariyā ke sāmne
hun main bhi shoabada koi duniya ke samne
hairan ho rahi hai mujhe pa ke samne
zarre ne aaj apni haqiqat ko pa liya
zarra na sar-nigun hua sahra ke samne
uksa rahi hai koi KHalish der se mujhe
rakh dil sa phul KHar-e-tamanna ke samne
KHalwat mein kar raha tha gunahon ka e'tiraf
honTon ko wa na kar saka duniya ke samne
'asif' tamam marhale aasan ho gae
Thahri na ek chaTan bhi dariya ke samne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.