hur ho ya koi pari ho tum
huur ho yā koī parī ho tum
kaise dil meñ utar ga.ī ho tum
terī āñkhoñ meñ niile dariyā haiñ
mere ḳhvāboñ kī jal-parī ho tum
zindagī bhī to aarzī Thahrī
kaise kah duuñ ki zindagī ho tum
tum mirī nazm ho taḳhayyul ho
merī urdu ho shā.irī ho tum
dekh jugnū bhī tum se jalte haiñ
chāñd-nagrī kī chāñdnī ho tum
ā.ina-ḳhāna ban ga.ī āñkheñ
sāmne hū-ba-hū khaḌī ho tum
mujh se goyā.ī chhin ga.ī merī
jab se patthar kī ban ga.ī ho tum
āḳhirī baar dekh luuñ tum ko
kyā palaT kar bhī dekhtī ho tum
aaj dil ne tumheñ bahut DhūñDā
aise lagtā hai jā chukī ho tum
hur ho ya koi pari ho tum
kaise dil mein utar gai ho tum
teri aankhon mein nile dariya hain
mere KHwabon ki jal-pari ho tum
zindagi bhi to aarzi Thahri
kaise kah dun ki zindagi ho tum
tum meri nazm ho taKHayyul ho
meri urdu ho shairi ho tum
dekh jugnu bhi tum se jalte hain
chand-nagri ki chandni ho tum
aaina-KHana ban gai aankhen
samne hu-ba-hu khaDi ho tum
mujh se goyai chhin gai meri
jab se patthar ki ban gai ho tum
aaKHiri bar dekh lun tum ko
kya palaT kar bhi dekhti ho tum
aaj dil ne tumhein bahut DhunDa
aise lagta hai ja chuki ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.