huzur aise na kijiye koi mar gaya to
huzūr aise na kījiye koī mar gayā to
balā kā ye vaqt tum pe aa ke Thahar gayā to
ye fikr mujh ko nahīñ ki ḳhurshīd muñh ko aave
ye fikr mujh ko ki tere dil meñ utar gayā to
maiñ tark-e-mai to kiye hue huuñ pe sochtā huuñ
ki pīr-e-mai mere sāmne se guzar gayā to
maiñ muntazir aap kā rahūñgā phir ā.iyegā
karūñ maiñ kaise yaqīñ kahīñ maiñ bhī mar gayā to
maiñ khul ke jiitā nahīñ jiyūñ bhī bhalā maiñ kaise
kahīñ agar jiine se mirā bhī jī bhar gayā to
sitāre kyā haiñ maiñ āsmāñ hī liye phir aa.uuñ
gumāñ ye guzre kahīñ vo kāfir mukar gayā to
vo mere haq meñ gavāhī dene to aa gayā hai
Darā huuñ sach kahne se kahīñ vo bhī Dar gayā to
tumheñ bhī 'hasrat' kī hālat-e-hāl par nahīñ rañj
ġhamoñ kā sailāb samt chhoḌe udhar gayā to
huzur aise na kijiye koi mar gaya to
bala ka ye waqt tum pe aa ke Thahar gaya to
ye fikr mujh ko nahin ki KHurshid munh ko aawe
ye fikr mujh ko ki tere dil mein utar gaya to
main tark-e-mai to kiye hue hun pe sochta hun
ki pir-e-mai mere samne se guzar gaya to
main muntazir aap ka rahunga phir aaiyega
karun main kaise yaqin kahin main bhi mar gaya to
main khul ke jita nahin jiyun bhi bhala main kaise
kahin agar jine se mera bhi ji bhar gaya to
sitare kya hain main aasman hi liye phir aaun
guman ye guzre kahin wo kafir mukar gaya to
wo mere haq mein gawahi dene to aa gaya hai
Dara hun sach kahne se kahin wo bhi Dar gaya to
tumhein bhi 'hasrat' ki haalat-e-haal par nahin ranj
ghamon ka sailab samt chhoDe udhar gaya to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.