huzur had bhi koi howe intizari ki
huzūr had bhī koī hove intizārī kī
ki intihā huī jaave hai be-qarārī kī
na kuchh kaho ho bulāo ho aur na aao ho
'ajīb tarz hai jānāñ vafā-shi’ārī kī
agar na aanā thā tum ko to kyoñ kiyā vā'da
bahut hī ḳhuub sazā dī hai e'tibārī kī
shab-e-firāq tumhārā hī rāsta dekhā
shab-e-firāq faqat ham ne āh-o-zārī kī
kabhī to hove sahar bhī tumhāre qadmoñ par
tavīl raat bahut hai gunāh-gārī kī
jalā na deve kahīñ dil ko ātish-e-hasrat
ye bujh na paa.ī bahut ham ne ashk-bārī kī
za’īf ho ga.e 'akbar' magar nasha na gayā
javāb hī nahīñ saaqī vo bāda-ḳhvārī kī
huzur had bhi koi howe intizari ki
ki intiha hui jawe hai be-qarari ki
na kuchh kaho ho bulao ho aur na aao ho
'ajib tarz hai jaanan wafa-shi’ari ki
agar na aana tha tum ko to kyon kiya wa'da
bahut hi KHub saza di hai e'tibari ki
shab-e-firaq tumhaara hi rasta dekha
shab-e-firaq faqat hum ne aah-o-zari ki
kabhi to howe sahar bhi tumhaare qadmon par
tawil raat bahut hai gunah-gari ki
jala na dewe kahin dil ko aatish-e-hasrat
ye bujh na pai bahut hum ne ashk-bari ki
za’if ho gae 'akbar' magar nasha na gaya
jawab hi nahin saqi wo baada-KHwari ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.