huzur khel hai ya phir Darama-bazi hai
huzūr khel hai yā phir Darāma-bāzī hai
tumhārā pyaar bil-āḳhir Darāma-bāzī hai
maiñ ulTe paañv palaT jā.ūñ terī bazm se kyā
agarche merī hī ḳhātir Darāma-bāzī hai
vo jis ko lafz baratnā talak nahīñ aatā
banā huā hai vo shā'ir Darāma-bāzī hai
ye kis liye tire kirdār sar-phire hue haiñ
ye kis Darāme kī ḳhātir Darāma-bāzī hai
agarche 'ilm hai lekin 'amal nahīñ koī
Darāme-bāz hai zākir Darāma-bāzī hai
sabhoñ ko ḳhuub hidāyat milī pas-e-parda
sab apne fan meñ haiñ māhir Darāma-bāzī hai
'adū se kah do tamāsha na ab kare koī
hamāre yaar haiñ zāhir Darāma-bāzī hai
sabhī to thop chuke ham pe apnī tahzībeñ
ham ab talak haiñ muhājir Darāma-bāzī hai
safed mom ke jaisā hai terā dil 'ārif'
dikhā.ī detā hai shātir Darāma-bāzī hai
huzur khel hai ya phir Darama-bazi hai
tumhaara pyar bil-aKHir Darama-bazi hai
main ulTe panw palaT jaun teri bazm se kya
agarche meri hi KHatir Darama-bazi hai
wo jis ko lafz baratna talak nahin aata
bana hua hai wo sha'ir Darama-bazi hai
ye kis liye tere kirdar sar-phire hue hain
ye kis Darame ki KHatir Darama-bazi hai
agarche 'ilm hai lekin 'amal nahin koi
Darame-baz hai zakir Darama-bazi hai
sabhon ko KHub hidayat mili pas-e-parda
sab apne fan mein hain mahir Darama-bazi hai
'adu se kah do tamasha na ab kare koi
hamare yar hain zahir Darama-bazi hai
sabhi to thop chuke hum pe apni tahziben
hum ab talak hain muhajir Darama-bazi hai
safed mom ke jaisa hai tera dil 'arif'
dikhai deta hai shatir Darama-bazi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.