huzur mil ke aap se main aaj muskura diya
huzūr mil ke aap se maiñ aaj muskurā diyā
tabassum aap kā jo ik udhār thā chukā diyā
bajā ki sar-kashī ġhalat qubūl inkisār bhī
magar ye kyā ki har kisī ke aage sar jhukā diyā
maiñ saḳhtiyoñ meñ jī gayā maiñ talḳhiyoñ ko pī gayā
magar kisī ne pyaar se sadā jo dī rulā diyā
na Dar mire ḳhamīr meñ na shar mire zamīr meñ
tamām zālimoñ ke naam maiñ ne ḳhat khulā diyā
jo ham-zabāñ na mil sakā to phir ġhazal 'naqīb' kyā
ki jaise andhe aadmī ke haath ā.īna diyā
huzur mil ke aap se main aaj muskura diya
tabassum aap ka jo ek udhaar tha chuka diya
baja ki sar-kashi ghalat qubul inkisar bhi
magar ye kya ki har kisi ke aage sar jhuka diya
main saKHtiyon mein ji gaya main talKHiyon ko pi gaya
magar kisi ne pyar se sada jo di rula diya
na Dar mere KHamir mein na shar mere zamir mein
tamam zalimon ke nam main ne KHat khula diya
jo ham-zaban na mil saka to phir ghazal 'naqib' kya
ki jaise andhe aadmi ke hath aaina diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.