huzur pahle nazare banae jate hain
huzūr pahle nazāre banā.e jaate haiñ
phir us ke baa'd nazariye banā.e jaate haiñ
hameñ ḳhabar hai ki lahreñ ujaaḌ deñgī inheñ
ham apnī zid meñ gharauñde banā.e jaate haiñ
yahī sabab hai ki maiñ tīrgī kā qaa.il huuñ
maiñ jāntā huuñ ujāle banā.e jaate haiñ
banā rahā hai jo kashtī use nahīñ ma.alūm
safar se pahle irāde banā.e jaate haiñ
maiñ sochte hue pahuñchā huuñ us jagah ki jahāñ
tasavvurāt ke sāñche banā.e jaate haiñ
daraḳht chhāñv musāfir safar thakan manzil
tarah tarah ke muamme banā.e jaate haiñ
huzur pahle nazare banae jate hain
phir us ke ba'd nazariye banae jate hain
hamein KHabar hai ki lahren ujaD dengi inhen
hum apni zid mein gharaunde banae jate hain
yahi sabab hai ki main tirgi ka qail hun
main jaanta hun ujale banae jate hain
bana raha hai jo kashti use nahin malum
safar se pahle irade banae jate hain
main sochte hue pahuncha hun us jagah ki jahan
tasawwuraat ke sanche banae jate hain
daraKHt chhanw musafir safar thakan manzil
tarah tarah ke muamme banae jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.