ibaadaton ko meri ratjaga samajhta hai
ibādatoñ ko mirī ratjagā samajhtā hai
vo sachche pyaar ko bhī falsafa samajhtā hai
maiñ us ko dil se ġhazal kī radīf māntī huuñ
mujhe vo sher kā ik qāfiya samajhtā hai
tumheñ to sirf ye ḳhvāhish ki raat raushan ho
hai karb jalne kā ye bas diyā samajhtā hai
maiñ apne ġham ko chhupā kar jo thoḌā hañstī huuñ
vo nā-samajh ise merī adā samajhtā hai
hamārī ruuh pe mahke haiñ phuul zaḳhmoñ ke
zamānā jin ko guloñ kī qabā samajhtā hai
dikhā.ī dete haiñ sanjīdgī ke naqsh-o-nigār
hamārī shoḳhiyāñ kab aa.ina samajhtā hai
qadam qadam pe bichhātā hai Thokareñ 'sīmā'
thakān paañv kī kab rāsta samajhtā hai
ibaadaton ko meri ratjaga samajhta hai
wo sachche pyar ko bhi falsafa samajhta hai
main us ko dil se ghazal ki radif manti hun
mujhe wo sher ka ek qafiya samajhta hai
tumhein to sirf ye KHwahish ki raat raushan ho
hai karb jalne ka ye bas diya samajhta hai
main apne gham ko chhupa kar jo thoDa hansti hun
wo na-samajh ise meri ada samajhta hai
hamari ruh pe mahke hain phul zaKHmon ke
zamana jin ko gulon ki qaba samajhta hai
dikhai dete hain sanjidgi ke naqsh-o-nigar
hamari shoKHiyan kab aaina samajhta hai
qadam qadam pe bichhata hai Thokaren 'sima'
thakan panw ki kab rasta samajhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.