ibarat jo udasi ne likhi hai
ibārat jo udāsī ne likhī hai
badan us kā ġhazal sā reshmī hai
kisī kī paas aatī āhaToñ se
udāsī aur gahrī ho chalī hai
uchhal paḌtī haiñ lahreñ chāñd tak jab
samundar kī udāsī TūTtī hai
udāsī ke parindo tum kahāñ ho
mirī tanhā.ī tum ko DhūñDhtī hai
mire ghar kī ghanī tārīkiyoñ meñ
udāsī bulb sī jaltī rahī hai
udāsī oḌhe vo būḌhī havelī
na jaane kis kā rasta dekhtī hai
udāsī sub.h kā ma.asūm jharnā
udāsī shaam kī bahtī nadī hai
ibarat jo udasi ne likhi hai
badan us ka ghazal sa reshmi hai
kisi ki pas aati aahaTon se
udasi aur gahri ho chali hai
uchhal paDti hain lahren chand tak jab
samundar ki udasi TuTti hai
udasi ke parindo tum kahan ho
meri tanhai tum ko DhunDhti hai
mere ghar ki ghani tarikiyon mein
udasi bulb si jalti rahi hai
udasi oDhe wo buDhi haweli
na jaane kis ka rasta dekhti hai
udasi subh ka masum jharna
udasi sham ki bahti nadi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.