ibn-e-adam teri tauqir mein rakkha gaya hun
ibn-e-ādam tirī tauqīr meñ rakkhā gayā huuñ
huuñ vahī zaḳhm jo shamshīr meñ rakkhā gayā huuñ
merā kirdār ayaañ honā hai duniyā pe abhī
maiñ abhī ḳhvāb huuñ ta.abīr meñ rakkhā gayā huuñ
merī vahshat se zamāne ko baḌā ḳhatra hai
is liye qaid meñ zanjīr meñ rakkhā gayā huuñ
tujh se sharminda huuñ tū ne hai bahut jhelā mujhe
ġham kī sūrat tirī taqdīr meñ rakkhā gayā huuñ
ḳhatm honī hai mohabbat kī risālat mujh par
maiñ ki taqdīm huuñ tāḳhīr meñ rakkhā gayā huuñ
chashm-e-mādar hai koī girya-kunāñ mere liye
vo galā huuñ jo kisī tiir meñ rakkhā gayā huuñ
ibn-e-adam teri tauqir mein rakkha gaya hun
hun wahi zaKHm jo shamshir mein rakkha gaya hun
mera kirdar ayan hona hai duniya pe abhi
main abhi KHwab hun tabir mein rakkha gaya hun
meri wahshat se zamane ko baDa KHatra hai
is liye qaid mein zanjir mein rakkha gaya hun
tujh se sharminda hun tu ne hai bahut jhela mujhe
gham ki surat teri taqdir mein rakkha gaya hun
KHatm honi hai mohabbat ki risalat mujh par
main ki taqdim hun taKHir mein rakkha gaya hun
chashm-e-madar hai koi girya-kunan mere liye
wo gala hun jo kisi tir mein rakkha gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.