ibraton ke har ek bayan mein hun
ibratoñ ke har ik bayān meñ huuñ
dard kī saarī dāstān meñ huuñ
har qadam gardisheñ haiñ terā nasīb
maiñ bhī har saañs imtihān meñ huuñ
ḳhud nishāna huuñ aur shikār bhī ḳhud
tiir huuñ aur abhī kamān meñ huuñ
merā hāfiz baḌā muhāfiz hai
hazrat-e-ishq kī amaan meñ huuñ
vo ḳharāba jo tū ne chhoḌ diyā
maiñ abhī tak usī makān meñ huuñ
sab farishte haiñ mere chāroñ taraf
maiñ zamīñ par yā āsmān meñ huuñ
merā azm-e-safar salāmat hai
dhuup meñ huuñ ki sā.ebān meñ huuñ
sarhadeñ chhū ke lauT aatā huuñ
haq-o-bātil ke darmiyān meñ huuñ
dushmanoñ ke had-e-yaqīn se duur
dostoñ ke har ik gumān meñ huuñ
harf-e-haq terī justujū ban kar
maiñ savāloñ ke har nishān meñ huuñ
kal talak thā sarāpā zabt-o-sukūt
aaj har ek kī zabān meñ huuñ
chand ḳhush-nām hāfizoñ ke sivā
maiñ saf-e-yād-e-raftagān meñ huuñ
ibraton ke har ek bayan mein hun
dard ki sari dastan mein hun
har qadam gardishen hain tera nasib
main bhi har sans imtihan mein hun
KHud nishana hun aur shikar bhi KHud
tir hun aur abhi kaman mein hun
mera hafiz baDa muhafiz hai
hazrat-e-ishq ki aman mein hun
wo KHaraba jo tu ne chhoD diya
main abhi tak usi makan mein hun
sab farishte hain mere chaaron taraf
main zamin par ya aasman mein hun
mera azm-e-safar salamat hai
dhup mein hun ki saeban mein hun
sarhaden chhu ke lauT aata hun
haq-o-baatil ke darmiyan mein hun
dushmanon ke had-e-yaqin se dur
doston ke har ek guman mein hun
harf-e-haq teri justuju ban kar
main sawalon ke har nishan mein hun
kal talak tha sarapa zabt-o-sukut
aaj har ek ki zaban mein hun
chand KHush-nam hafizon ke siwa
main saf-e-yaad-e-raftagan mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.