ibtida aur intiha ka silsila koi na tha
ibtidā aur intihā kā silsila koī na thā
tū hī thā har ahd meñ tere sivā koī na thā
āsmāñ kā jab zamīñ se rābta koī na thā
eḌiyāñ ragḌī ga.ī thiiñ mo.ajiza koī na thā
vaqt aisā thā ki apnā aasrā koī na thā
ye galī apnī thī lekin āshnā koī na thā
ḳhvāhishoñ kī sar-bulandī le ke jaatī bhī kahāñ
dā.era thā parbatoñ kā rāsta koī na thā
zehn-o-dil kī dūriyāñ mahfūz thiiñ apnī jagah
aur logoñ ne ye samjhā fāsla koī na thā
shahr-e-pur-āshob kī tamsīl thī apnī hayāt
dil-shikan is se ziyāda vāqi.a koī na thā
apnī apnī dhun meñ the 'ḳhālid' sabhī mahv-e-safar
manzil-e-maqsad kī jānib qāfila koī na thā
ibtida aur intiha ka silsila koi na tha
tu hi tha har ahd mein tere siwa koi na tha
aasman ka jab zamin se rabta koi na tha
eDiyan ragDi gai thin moajiza koi na tha
waqt aisa tha ki apna aasra koi na tha
ye gali apni thi lekin aashna koi na tha
KHwahishon ki sar-bulandi le ke jati bhi kahan
daera tha parbaton ka rasta koi na tha
zehn-o-dil ki duriyan mahfuz thin apni jagah
aur logon ne ye samjha fasla koi na tha
shahr-e-pur-ashob ki tamsil thi apni hayat
dil-shikan is se ziyaada waqia koi na tha
apni apni dhun mein the 'KHalid' sabhi mahw-e-safar
manzil-e-maqsad ki jaanib qafila koi na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.