ibtida dard hai intiha dard hai
ibtidā dard hai intihā dard hai
ishq kā dard to lā-davā dard hai
maiñ ne pūchhā vafā kā sila jo kabhī
us ne hañs kar ye mujh se kahā dard hai
pyaar se ishq tak jā-ba-jā raushnī
pyaar se ishq tak jā-ba-jā dard hai
ye nayā phuul hai aur ye ḳhushbū na.ī
ye na.ī shaam hai aur nayā dard hai
zaḳhm kaisā hai bhartā nahīñ hai kabhī
dard hotā nahīñ hai ye kyā dard hai
maiñ to Darne lagī us kī ta.abīr se
pyaar āñkhoñ meñ jab se banā dard hai
ek pal meñ kahāñ kho ga.ī hai ḳhushī
ab to ulfat kī bas ik sazā dard hai
chhoḌ 'shāhīñ' vafā kā tū ab tazkira
bevafā hai ḳhushī bā-vafā dard hai
ibtida dard hai intiha dard hai
ishq ka dard to la-dawa dard hai
main ne puchha wafa ka sila jo kabhi
us ne hans kar ye mujh se kaha dard hai
pyar se ishq tak ja-ba-ja raushni
pyar se ishq tak ja-ba-ja dard hai
ye naya phul hai aur ye KHushbu nai
ye nai sham hai aur naya dard hai
zaKHm kaisa hai bharta nahin hai kabhi
dard hota nahin hai ye kya dard hai
main to Darne lagi us ki tabir se
pyar aankhon mein jab se bana dard hai
ek pal mein kahan kho gai hai KHushi
ab to ulfat ki bas ek saza dard hai
chhoD 'shahin' wafa ka tu ab tazkira
bewafa hai KHushi ba-wafa dard hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.