ibtida kya hai intiha kya hai
ibtidā kyā hai intihā kyā hai
maut kā naam dūsrā kyā hai
bahr-o-bar meñ talāsh hai kis kī
mujh se kyā jaane kho gayā kyā hai
zikr kar ke mirī mohabbat kā
ye bhī kah do mirī ḳhatā kyā hai
ik tamanna hai tujh ko paane kī
lab pe aa.ī hai jo duā kyā hai
maiñ to sajde mudām kartā huuñ
mujh se pūchho ki mudda.ā kyā hai
terī furqat meñ mujh ko har lamha
jaan kā rog lag gayā kyā hai
ḳhaar dil meñ mire khaTaktā kyoñ
tū agar jāntā vafā kyā hai
jān-o-dil to fidā hue tujh par
ab mire paas rah gayā kyā hai
jo hue haiñ shahīd ulfat meñ
ai 'rafīq' un kā martaba kyā hai
ibtida kya hai intiha kya hai
maut ka nam dusra kya hai
bahr-o-bar mein talash hai kis ki
mujh se kya jaane kho gaya kya hai
zikr kar ke meri mohabbat ka
ye bhi kah do meri KHata kya hai
ek tamanna hai tujh ko pane ki
lab pe aai hai jo dua kya hai
main to sajde mudam karta hun
mujh se puchho ki muddaa kya hai
teri furqat mein mujh ko har lamha
jaan ka rog lag gaya kya hai
KHar dil mein mere khaTakta kyon
tu agar jaanta wafa kya hai
jaan-o-dil to fida hue tujh par
ab mere pas rah gaya kya hai
jo hue hain shahid ulfat mein
ai 'rafiq' un ka martaba kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.