ibtida mein jahan-numa hua main
ibtidā meñ jahāñ-numā huā maiñ
baad meñ qāfila-zada huā maiñ
ik tahayyur se āshnā huā jab
ḳhud tak aane kā rāsta huā maiñ
raat kal āsmān thā ḳhālī
apne kamre meñ thā bujhā huā maiñ
dar bhī darvāza ho gayā āḳhir
kahāñ Thahrūñ safar kiyā huā maiñ
ek aahaT aur ek sannāTā
darmiyāñ jin ke chīḳhtā huā maiñ
kaan hāthoñ se Dhāñptā huā tū
apnī āvāz ghoñTtā huā maiñ
shaam kā Dūbtā huā sūraj
aur sūraj ko ghūrtā huā maiñ
jitne alfāz the khule mujh meñ
shā.erī se harā-bharā huā maiñ
ibtida mein jahan-numa hua main
baad mein qafila-zada hua main
ek tahayyur se aashna hua jab
KHud tak aane ka rasta hua main
raat kal aasman tha KHali
apne kamre mein tha bujha hua main
dar bhi darwaza ho gaya aaKHir
kahan Thahrun safar kiya hua main
ek aahaT aur ek sannaTa
darmiyan jin ke chiKHta hua main
kan hathon se Dhanpta hua tu
apni aawaz ghonTta hua main
sham ka Dubta hua suraj
aur suraj ko ghurta hua main
jitne alfaz the khule mujh mein
shaeri se hara-bhara hua main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.