idhar bhi aaen kabhi dhup ke satae hue
idhar bhī aa.eñ kabhī dhuup ke satā.e hue
shajar khaḌe haiñ sar-e-rāh sar jhukā.e hue
kuchh aur baat karo gardish-e-jahāñ ke sivā
na vāqi.āt sunāo sune-sunā.e hue
zamīñ pe Dher kiye dopahar ke sūraj ne
tamām phuul shab-e-māh ke khilā.e hue
dhuāñ dhuāñ haiñ vo chehre bhī ab na jaane kyuuñ
mire liye the kabhī jin pe rañg aa.e hue
kuchh aur ho ki na ho zād-e-rāh manzil-e-shab
sahar ke ḳhvāb to āñkhoñ meñ haiñ sajā.e hue
khulī fazā se koī vāsta na thā jab tak
ham apne-āp meñ ḳhud ko rahe chhupā.e hue
havā kī zad pe jab aa.e to bujh ga.e 'ḳhāvar'
vo sab charāġh jo mere na the jalā.e hue
idhar bhi aaen kabhi dhup ke satae hue
shajar khaDe hain sar-e-rah sar jhukae hue
kuchh aur baat karo gardish-e-jahan ke siwa
na waqiat sunao sune-sunae hue
zamin pe Dher kiye dopahar ke suraj ne
tamam phul shab-e-mah ke khilae hue
dhuan dhuan hain wo chehre bhi ab na jaane kyun
mere liye the kabhi jin pe rang aae hue
kuchh aur ho ki na ho zad-e-rah manzil-e-shab
sahar ke KHwab to aankhon mein hain sajae hue
khuli faza se koi wasta na tha jab tak
hum apne-ap mein KHud ko rahe chhupae hue
hawa ki zad pe jab aae to bujh gae 'KHawar'
wo sab charagh jo mere na the jalae hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.