idhar dariya mein ek tufan khaDa tha
idhar dariyā meñ ik tūfāñ khaḌā thā
udhar sohnī thī aur kachchā ghaḌā thā
hameñ hadd-e-adab ne maar Daalā
ki dushman umr meñ ham se baḌā thā
vo jin ke ghar ko bārish le ga.ī thī
unheñ sāvan bahut mahñgā paḌā thā
añdherī shaam raushan ho ga.ī thī
ufuq kī aañkh meñ hiirā jaḌā thā
vo hañste hañste ruḳhsat ho rahe the
hamārā imtihāñ thā aur kaḌā thā
ilāqa thā hamārā aur us meñ
tumhāre naam kā jhanDā gaḌā thā
kahīñ phūloñ se pagDanDī sajī thī
kahīñ ik rāsta suunā paḌā thā
lipaT kar ro diye ham us shajar se
ki jis kā āḳhirī pattā jhaḌā thā
idhar dariya mein ek tufan khaDa tha
udhar sohni thi aur kachcha ghaDa tha
hamein hadd-e-adab ne mar Dala
ki dushman umr mein hum se baDa tha
wo jin ke ghar ko barish le gai thi
unhen sawan bahut mahnga paDa tha
andheri sham raushan ho gai thi
ufuq ki aankh mein hira jaDa tha
wo hanste hanste ruKHsat ho rahe the
hamara imtihan tha aur kaDa tha
ilaqa tha hamara aur us mein
tumhaare nam ka jhanDa gaDa tha
kahin phulon se pagDanDi saji thi
kahin ek rasta suna paDa tha
lipaT kar ro diye hum us shajar se
ki jis ka aaKHiri patta jhaDa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.