idhar kuchh aur kahti hai udhar kuchh aur kahti hai
idhar kuchh aur kahtī hai udhar kuchh aur kahtī hai
ye duniyā chāhtī kuchh hai magar kuchh aur kahtī hai
ye dil kuchh aur kahtā hai nazar kuchh aur kahtī hai
magar un kī nigāh-e-mo.atabar kuchh aur kahtī hai
qasīde paḌh rahe ho tum chaman kī shaan meñ lekin
har ik jhulsī huī shāḳh-e-shajar kuchh aur kahtī hai
ba-zāhir haiñ jadīd uslūb kī ārā.isheñ dilkash
magar tahqīq-e-arbāb-e-hunar kuchh aur kahtī hai
pata sehat kā chaltā hai marīz-e-ġham ke chehre se
magar sanjīdgī-e-chārāgar kuchh aur kahtī hai
tirī poshāk ke paivand haiñ iflās ke maz.har
tirī bā-raub shaḳhsiyyat magar kuchh aur kahtī hai
banāne ko banā leñ ham bhī shīshoñ ke makāñ 'anvar'
magar yāroñ kī sang-afgan nazar kuchh aur kahtī hai
idhar kuchh aur kahti hai udhar kuchh aur kahti hai
ye duniya chahti kuchh hai magar kuchh aur kahti hai
ye dil kuchh aur kahta hai nazar kuchh aur kahti hai
magar un ki nigah-e-moatabar kuchh aur kahti hai
qaside paDh rahe ho tum chaman ki shan mein lekin
har ek jhulsi hui shaKH-e-shajar kuchh aur kahti hai
ba-zahir hain jadid uslub ki aaraishen dilkash
magar tahqiq-e-arbab-e-hunar kuchh aur kahti hai
pata sehat ka chalta hai mariz-e-gham ke chehre se
magar sanjidgi-e-chaaragar kuchh aur kahti hai
teri poshak ke paiwand hain iflas ke mazhar
teri ba-raub shaKHsiyyat magar kuchh aur kahti hai
banane ko bana len hum bhi shishon ke makan 'anwar'
magar yaron ki sang-afgan nazar kuchh aur kahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.