idhar mausam ki ye KHush-e-ehtimami
idhar mausam kī ye ḳhush-e-ehtimāmī
udhar rindoñ kī ye hasrat-bajāmī
havā.eñ chal rahī haiñ sansanātī
ghaTā.eñ uTh rahīñ haiñ dhūm-dhāmī
ye hai aks-e-hilāl ai mauj-e-sāhil
ki shamshīr-e-badan kī be-niyāmī
phaḌaktā jā misāl-e-bāl-e-jibrīl
na chup ho ai dil ai mere payāmī
khule haiñ pāñch dar ik samt-e-dariyā
navishte meñ yahīñ thī ek ḳhāmī
bahut hai arsh par dam bhar kā pherā
nahīñ bhātī hameñ qaid-e-maqāmī
nahīñ hai chashm-e-fitrat meñ koī phuul
zamīñ kī kokh kā jaayā harāmī
sunā do un ko ye bhī qaul-e-'haqqī'
abhī tak soch meñ jin kī hai ḳhāmī
idhar mausam ki ye KHush-e-ehtimami
udhar rindon ki ye hasrat-bajami
hawaen chal rahi hain sansanati
ghaTaen uTh rahin hain dhum-dhami
ye hai aks-e-hilal ai mauj-e-sahil
ki shamshir-e-badan ki be-niyami
phaDakta ja misal-e-baal-e-jibril
na chup ho ai dil ai mere payami
khule hain panch dar ek samt-e-dariya
nawishte mein yahin thi ek KHami
bahut hai arsh par dam bhar ka phera
nahin bhati hamein qaid-e-maqami
nahin hai chashm-e-fitrat mein koi phul
zamin ki kokh ka jaya harami
suna do un ko ye bhi qaul-e-'haqqi'
abhi tak soch mein jin ki hai KHami
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 236)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.