idhar na dekh zulf ko sanwarte sanwarte
idhar na dekh zulf ko sañvārte sañvārte
maiñ ban na jā.ūñ aa.ina nihārte nihārte
sitāre to zamīñ pe ham utaar laa.e aaj shab
lagegī 'umr ab unheñ shumārte shumārte
sabhī ġhamoñ ko pī gayā sab āfatoñ ko jī gayā
ki zindagī thakī mujhe guzārte guzārte
maiñ un sā ho sakā nahīñ hazār koshishoñ pe bhī
vo mujh se ho ga.e mujhe nakārte nakārte
mujhe sunā.ī dī nahīñ tirī sadā mu'āf kar
maiñ bad-havās thā tujhe pukārte pukārte
maiñ chāhtā thā us kā 'aks lafz meñ ubhār luuñ
na.ī zabān ban ga.ī ubhārte ubhārte
na.ī ḳhatā.eñ ho ga.iiñ na.e qusūr ho ga.e
purānī bhūl-chūk ko sudhārte sudhārte
kisī kā 'zarra' naqsh naqsh naql kar rahā thā maiñ
mirā hī chehra ban gayā utārte utārte
idhar na dekh zulf ko sanwarte sanwarte
main ban na jaun aaina nihaarte nihaarte
sitare to zamin pe hum utar lae aaj shab
lagegi 'umr ab unhen shumarte shumarte
sabhi ghamon ko pi gaya sab aafaton ko ji gaya
ki zindagi thaki mujhe guzarte guzarte
main un sa ho saka nahin hazar koshishon pe bhi
wo mujh se ho gae mujhe nakarte nakarte
mujhe sunai di nahin teri sada mu'af kar
main bad-hawas tha tujhe pukarte pukarte
main chahta tha us ka 'aks lafz mein ubhaar lun
nai zaban ban gai ubhaarte ubhaarte
nai KHataen ho gain nae qusur ho gae
purani bhul-chuk ko sudhaarte sudhaarte
kisi ka 'zarra' naqsh naqsh naql kar raha tha main
mera hi chehra ban gaya utarte utarte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.