Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

idhar uga raha hun main machal machal ke phul

Kunaal Barkade

idhar uga raha hun main machal machal ke phul

Kunaal Barkade

MORE BYKunaal Barkade

    idhar ugā rahā huuñ maiñ machal machal ke phuul

    udhar vo toḌ rahā hai uchhal uchhal ke phuul

    purānā 'ishq na.e 'ishq meñ talāshte ho

    nahīñ milegī vo ḳhushbū tumheñ badal ke phuul

    tumhāre bāloñ meñ saj kar ye murjhā jaa.eñ

    bahut ḳhush haiñ ye guldān se nikal ke phuul

    jagah jagah pe mileñge ye toḌne vaale

    khilo khilo du'ā hai par khilo sañbhal ke phuul

    maiñ phuul hāthoñ meñ pakḌe ye sochtā huuñ ki vo

    kare qubūl bhale pairoñ se kuchal ke phuul

    kisī bhī rishte dekhā hai kis ne mustaqbil

    baneñge dil ke liye kāñTe aage chal ke phuul

    idhar uga raha hun main machal machal ke phul

    udhar wo toD raha hai uchhal uchhal ke phul

    purana 'ishq nae 'ishq mein talashte ho

    nahin milegi wo KHushbu tumhein badal ke phul

    tumhaare baalon mein saj kar ye murjha hi jaen

    bahut hi KHush hain ye guldan se nikal ke phul

    jagah jagah pe milenge ye toDne wale

    khilo khilo du'a hai par khilo sanbhal ke phul

    main phul hathon mein pakDe ye sochta hun ki wo

    kare qubul bhale pairon se kuchal ke phul

    kisi bhi rishte ka dekha hai kis ne mustaqbil

    banenge dil ke liye kanTe aage chal ke phul

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now