iman ke bharose par dariya mein utar jaana
īmāñ ke bharose par dariyā meñ utar jaanā
tū bahr-e-havādis se yak-laḳht ubhar jaanā
jis raah pe phailā ho nafrat kā añdherā tum
ulfat kī ziyā le kar us rah se guzar jaanā
ghar mere chale aa.e vo ḳhud hī achānak se
kahte haiñ isī ko to qismat kā sañvar jaanā
shā.ir meñ nahīñ lekin sohbat kā asar hai ye
jab sher huā koī faizān-e-nazar jaanā
maiḳhāne se pī kar bhī lauTā hai salīqe se
ma.alūm thā us ko ab jaanā hai to ghar jaanā
ham sach ko kaheñge sach fitrat ye hamārī hai
zālim se hameñ hargiz aatā nahīñ Dar jaanā
abbā kī nasīhat par kartā huuñ amal har dam
us ek amal se hī sīkhā hai nikhar jaanā
masrūf agar ho tum be-kār nahīñ maiñ bhī
is ġham se to behtar hai āvāra hī mar jaanā
barsāt kā ḳhadsha hai bijlī na kahīñ gir jaa.e
jaate ho kahāñ 'ahmad' kuchh der Thahar jaanā
iman ke bharose par dariya mein utar jaana
tu bahr-e-hawadis se yak-laKHt ubhar jaana
jis rah pe phaila ho nafrat ka andhera tum
ulfat ki ziya le kar us rah se guzar jaana
ghar mere chale aae wo KHud hi achanak se
kahte hain isi ko to qismat ka sanwar jaana
shair mein nahin lekin sohbat ka asar hai ye
jab sher hua koi faizan-e-nazar jaana
maiKHane se pi kar bhi lauTa hai saliqe se
malum tha us ko ab jaana hai to ghar jaana
hum sach ko kahenge sach fitrat ye hamari hai
zalim se hamein hargiz aata nahin Dar jaana
abba ki nasihat par karta hun amal har dam
us ek amal se hi sikha hai nikhar jaana
masruf agar ho tum be-kar nahin main bhi
is gham se to behtar hai aawara hi mar jaana
barsat ka KHadsha hai bijli na kahin gir jae
jate ho kahan 'ahmad' kuchh der Thahar jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.