iman ki daulat luTti hai qurban jawani hoti hai
iman ki daulat luTti hai qurban jawani hoti hai
Mirza Ghulam Abbas Zahir Haidari
MORE BYMirza Ghulam Abbas Zahir Haidari
īmān kī daulat luTtī hai qurbān javānī hotī hai
jab 'ishq-o-mohabbat meñ bāham paiġhām-rasānī hotī hai
har barg-e-gul-e-nau-rusta ko jis ruḳh se uThā kar bhī dekho
mere hī dil-e-ḳhūñ-gashta kī tahrīr kahānī hotī hai
mā'sūm nigāhoñ meñ un kī halkā sā tabassum hotā hai
duniyā-e-tamannā meñ merī jab aag lagānī hotī hai
mumkin hī nahīñ dil thaam ke tum majbūr-e-karam ho kar na raho
vo merī kahānī hotī hai jo merī zabānī hotī hai
āġhāz hī jis kā ai 'zāhir' anjām-e-farāmoshī nikle
kyā aisī javānī kā karnā jo ḳhud bhī divānī hotī hai
iman ki daulat luTti hai qurban jawani hoti hai
jab 'ishq-o-mohabbat mein baham paigham-rasani hoti hai
har barg-e-gul-e-nau-rusta ko jis ruKH se uTha kar bhi dekho
mere hi dil-e-KHun-gashta ki tahrir kahani hoti hai
ma'sum nigahon mein un ki halka sa tabassum hota hai
duniya-e-tamanna mein meri jab aag lagani hoti hai
mumkin hi nahin dil tham ke tum majbur-e-karam ho kar na raho
wo meri kahani hoti hai jo meri zabani hoti hai
aaghaz hi jis ka ai 'zahir' anjam-e-faramoshi nikle
kya aisi jawani ka karna jo KHud bhi diwani hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.