iqan ke hamrah kuchh auham paDe the
īqān ke hamrāh kuchh auhām paḌe the
ham un kī galī meñ jo sar-e-shām paḌe the
maiñ maan nahīñ paayā magar dekh rahā thā
us shaḳhs kī chaukhaT pe dar-o-bām paḌe the
maiñ ek sadī ba.ad kā ġham dekh rahā thā
aur saath hī din raat ke ālām paḌe the
lākhoñ meñ chunā ham ne usī ek ko varna
piine ko to mahfil meñ ka.ī jaam paḌe the
sarkār se pahle thā ajab naqsha jahāñ kā
masjid thī kahīñ devī kahīñ raam paḌe the
'ājiz' ko baḌā maan hai un sheroñ pe jānāñ
jo tere tavassut se zad-e-ām paḌe the
iqan ke hamrah kuchh auham paDe the
hum un ki gali mein jo sar-e-sham paDe the
main man nahin paya magar dekh raha tha
us shaKHs ki chaukhaT pe dar-o-baam paDe the
main ek sadi baad ka gham dekh raha tha
aur sath hi din raat ke aalam paDe the
lakhon mein chuna hum ne usi ek ko warna
pine ko to mahfil mein kai jam paDe the
sarkar se pahle tha ajab naqsha jahan ka
masjid thi kahin dewi kahin ram paDe the
'ajiz' ko baDa man hai un sheron pe jaanan
jo tere tawassut se zad-e-am paDe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.