izaen uThae hue dukh pae hue hain
īzā.eñ uThā.e hue dukh paa.e hue haiñ
ham dil se ba-tañg aa.e haiñ uktā.e hue haiñ
betāb haiñ bechain haiñ ghabrā.e hue haiñ
ham dil se ba-tañg aa.e haiñ uktā.e hue haiñ
un hoñThoñ ke bose kā mazā paa.e hue haiñ
pyaar aayā hai muñh takte haiñ lalchā.e hue haiñ
zulfeñ vo balā jī ko jo uljhā.e hue haiñ
juuḌe ke ulaT beach meñ dil aa.e hue haiñ
ġhusse meñ bhare baiThe haiñ jhallā.e hue haiñ
afroḳhta haiñ ġhairoñ ke bhaḌkā.e hue haiñ
darvāze pe baiThe haiñ nikalvā.e hue haiñ
ham ne to Dhahī dī vo ġhazab Dhaa.e hue haiñ
iThlā.e hue baiThe haiñ itrā.e hue haiñ
ab ruup hai joban pe haiñ gadrā.e hue haiñ
kyā baat hai kyā baat hai terī lab-e-jāñ-baḳhsh
aisī bhī tire ahd meñ dam khaa.e hue haiñ
mujh par unheñ rahm aa.e ye mumkin hī nahīñ hai
aise vo samajhte nahīñ samjhā.e hue haiñ
kartā ġhazab ab tak to hamārā dil-e-betāb
roke hue DāñTe hue dhamkā.e hue haiñ
hañgāma rahegā yuuñ hī kūche meñ tumhāre
āshiq kahāñ jā sakte haiñ dil aa.e hue haiñ
aa.eñ to ināyat hai nahīñ aate na aa.eñ
ham dil ko tasavvur hī se bahlā.e hue haiñ
dil Thahar gayā zaḳhm-e-jigar bhar ga.e apne
ārām hī ham tum ko jo lipTā.e hue haiñ
marne pe bhī afsurda-dilī apnī ayaañ hai
turbat pe mirī phuul bhī murjhā.e hue haiñ
aġhyār-e-siyah-rū se bahut rabt hai un ko
vo chāñd haiñ ai 'mehr' to gahnā.e hue haiñ
izaen uThae hue dukh pae hue hain
hum dil se ba-tang aae hain uktae hue hain
betab hain bechain hain ghabrae hue hain
hum dil se ba-tang aae hain uktae hue hain
un honThon ke bose ka maza pae hue hain
pyar aaya hai munh takte hain lalchae hue hain
zulfen wo bala ji ko jo uljhae hue hain
juDe ke ulaT beach mein dil aae hue hain
ghusse mein bhare baiThe hain jhallae hue hain
afroKHta hain ghairon ke bhaDkae hue hain
darwaze pe baiThe hain nikalwae hue hain
hum ne to Dhahi di wo ghazab Dhae hue hain
iThlae hue baiThe hain itrae hue hain
ab rup hai joban pe hain gadrae hue hain
kya baat hai kya baat hai teri lab-e-jaan-baKHsh
aisi bhi tere ahd mein dam khae hue hain
mujh par unhen rahm aae ye mumkin hi nahin hai
aise wo samajhte nahin samjhae hue hain
karta ghazab ab tak to hamara dil-e-betab
roke hue DanTe hue dhamkae hue hain
hangama rahega yun hi kuche mein tumhaare
aashiq kahan ja sakte hain dil aae hue hain
aaen to inayat hai nahin aate na aaen
hum dil ko tasawwur hi se bahlae hue hain
dil Thahar gaya zaKHm-e-jigar bhar gae apne
aaram hi hum tum ko jo lipTae hue hain
marne pe bhi afsurda-dili apni ayan hai
turbat pe meri phul bhi murjhae hue hain
aghyar-e-siyah-ru se bahut rabt hai un ko
wo chand hain ai 'mehr' to gahnae hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.