ijazat jo hoti to ek bar rota
ijāzat jo hotī to ik baar rotā
maiñ do tiin ghanTe lagātār rotā
ye maz.hab na hote agar bechne ko
dukāneñ bhī rotī ye bāzār rotā
maiñ ghar aa gayā huuñ saḌak ro rahī hai
agar maiñ na aatā to ghar-bār rotā
ye kah kar ki ronā hai kamzor kā kaam
maiñ muñh ko chhupā kar mere yaar rotā
koī mujh se kahtā ki jī bhar ke ro le
to terī qasam hai maiñ har baar rotā
na hotā koī ham sā darbān to phir
vahāñ taḳht rote vo darbār rotā
bhagā to vo detā qabīle se mujh ko
magar phir qabīle kā sardār rotā
ijazat jo hoti to ek bar rota
main do tin ghanTe lagatar rota
ye mazhab na hote agar bechne ko
dukanen bhi roti ye bazar rota
main ghar aa gaya hun saDak ro rahi hai
agar main na aata to ghar-bar rota
ye kah kar ki rona hai kamzor ka kaam
main munh ko chhupa kar mere yar rota
koi mujh se kahta ki ji bhar ke ro le
to teri qasam hai main har bar rota
na hota koi hum sa darban to phir
wahan taKHt rote wo darbar rota
bhaga to wo deta qabile se mujh ko
magar phir qabile ka sardar rota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.