ek aaftab ke ham-sar charagh mera bhi tha
ik āftāb ke ham-sar charāġh merā bhī thā
so kuchh dinoñ to falak par dimāġh merā bhī thā
tire bahisht se guzrā to yaad aayā mujhe
isī tarah kā kahīñ ek baaġh merā bhī thā
use bhī merī talab thī shab-e-chahār-dahum
mah-e-tamām ke siine meñ daaġh merā bhī thā
jahāñ tū khoj rahā thā bujhe sitāroñ ko
unhī kī raakh meñ pinhāñ surāġh merā bhī thā
phir ek shaam baḌī der ham ikaTThe rahe
thiiñ fursateñ use vaqt-e-farāġh merā bhī thā
uThī na jis kī taraf chashm-e-multafit us kī
usī qatār meñ 'āzar' ayāġh merā bhī thā
ek aaftab ke ham-sar charagh mera bhi tha
so kuchh dinon to falak par dimagh mera bhi tha
tere bahisht se guzra to yaad aaya mujhe
isi tarah ka kahin ek bagh mera bhi tha
use bhi meri talab thi shab-e-chahaar-dahum
mah-e-tamam ke sine mein dagh mera bhi tha
jahan tu khoj raha tha bujhe sitaron ko
unhi ki rakh mein pinhan suragh mera bhi tha
phir ek sham baDi der hum ikaTThe rahe
thin fursaten use waqt-e-faragh mera bhi tha
uThi na jis ki taraf chashm-e-multafit us ki
usi qatar mein 'azar' ayagh mera bhi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.