ek aag si sine mein din raat sulagti hai
ek aag si sine mein din raat sulagti hai
Abdul Majeed Khan Majeed
MORE BYAbdul Majeed Khan Majeed
ik aag sī siine meñ din raat sulagtī hai
aa jaa.e koī sāvan ḳhvāhish ye machaltī hai
shabnam kī haqīqat kyā shab bhar kī kahānī hai
uḌ jaate haiñ pal-bhar meñ jab dhuup nikaltī hai
us buuñd kī azmat ko kyā ahl-e-sitam jāneñ
ik buuñd jo aañsū kī āñkhoñ se Tapaktī hai
jal jaate haiñ parvāne ma.asūm sī chāhat meñ
ye dekh ke sham.a bhī chup-chāp sisaktī hai
muñh-zor havā.eñ bhī kyā us kā bigāḌeñgī
rahtī hai salāmat vo jo shāḳh lachaktī hai
ek aag si sine mein din raat sulagti hai
aa jae koi sawan KHwahish ye machalti hai
shabnam ki haqiqat kya shab bhar ki kahani hai
uD jate hain pal-bhar mein jab dhup nikalti hai
us bund ki azmat ko kya ahl-e-sitam jaanen
ek bund jo aansu ki aankhon se Tapakti hai
jal jate hain parwane masum si chahat mein
ye dekh ke shama bhi chup-chap sisakti hai
munh-zor hawaen bhi kya us ka bigaDengi
rahti hai salamat wo jo shaKH lachakti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.