ek aagahi ki tapish thi jo kargar kar li
ik āgahī kī tapish thī jo kārgar kar lī
dahakte shāloñ pe ham ne guzar basar kar lī
ġham-o-alam kī fazā jis ne mushtahar kar lī
ġhazab kiyā ki ye tahqīr dar-ba-dar kar lī
tamām umr kī uftād dar-guzar kar lī
ba-zauq-o-shauq shab-e-zīst kī sahar kar lī
jise bhī honā ho ham se kināra-kash ho le
ki ham ne apnī ravish ġhair mo'atabar kar lī
na aadmī se sivā ham ko pur-vaqār milā
ki sair-e-dair-o-haram ham ne umr bhar kar lī
vo gum-shuda huuñ ki duniyā mirī talāsh meñ hai
nashāt-e-ġham meñ alag apnī rahguzar kar lī
har ek fard ko ḳhud se bhī mo'atabar paayā
jab apne nāma-e-a.amāl par nazar kar lī
chalo tamām huā qissa-e-nasheb-o-farāz
zahe-nasīb ki takmīl-e-dard-e-sar kar lī
ye būd-o-bāsh kahāñ iḳhtiyār kī 'hāmid'
ki ham ne apnī hī taḳhlīq be-asar kar lī
ek aagahi ki tapish thi jo kargar kar li
dahakte shaalon pe hum ne guzar basar kar li
gham-o-alam ki faza jis ne mushtahar kar li
ghazab kiya ki ye tahqir dar-ba-dar kar li
tamam umr ki uftad dar-guzar kar li
ba-zauq-o-shauq shab-e-zist ki sahar kar li
jise bhi hona ho hum se kinara-kash ho le
ki hum ne apni rawish ghair mo'atabar kar li
na aadmi se siwa hum ko pur-waqar mila
ki sair-e-dair-o-haram hum ne umr bhar kar li
wo gum-shuda hun ki duniya meri talash mein hai
nashat-e-gham mein alag apni rahguzar kar li
har ek fard ko KHud se bhi mo'atabar paya
jab apne nama-e-amal par nazar kar li
chalo tamam hua qissa-e-nasheb-o-faraaz
zahe-nasib ki takmil-e-dard-e-sar kar li
ye bud-o-bash kahan iKHtiyar ki 'hamid'
ki hum ne apni hi taKHliq be-asar kar li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.