ek aap ka yun jaana mujhe kya hi lag gaya
ek aap ka yun jaana mujhe kya hi lag gaya
Gunjan Nagar Shayar Bakar
MORE BYGunjan Nagar Shayar Bakar
ik aap kā yuuñ jaanā mujhe kyā hī lag gayā
jo zaḳhm sūkhnā thā vo gahrā hī lag gayā
ye be-ruḳhī dikhāne ko line meñ ḳhuub the
maiñ ḳhaas thā so daao bhī merā hī lag gayā
ab kyā gila kareñ jo hue haiñ zalīl roz
jab shernī ke muñh ye ḳhuuñ taaza hī lag gayā
haañ raushnī kī aarzū to har koī kare
par jab bhī maiñ ne chāhā to kohra hī lag gayā
jab se chalā gayā hai vo mujh ko yuuñ chhoḌ ke
is zindagī meñ jaise ki nuqta hī lag gayā
ek aap ka yun jaana mujhe kya hi lag gaya
jo zaKHm sukhna tha wo gahra hi lag gaya
ye be-ruKHi dikhane ko line mein KHub the
main KHas tha so dao bhi mera hi lag gaya
ab kya gila karen jo hue hain zalil roz
jab sherni ke munh ye KHun taza hi lag gaya
han raushni ki aarzu to har koi kare
par jab bhi main ne chaha to kohra hi lag gaya
jab se chala gaya hai wo mujh ko yun chhoD ke
is zindagi mein jaise ki nuqta hi lag gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.