ek aarzu hi sahi aarzu ki aadat hai
ik aarzū hī sahī aarzū kī 'ādat hai
ki chashm-e-dil ko usī ḳhūb-rū kī 'ādat hai
na Dar ai 'ishq tū jaarī rakh imtihāñ apnā
janāb-e-dil ko zarā hāo-hū kī 'ādat hai
unhīñ se mujh ko bhī hai shauq zaḳhm khāne kā
lagā ke zaḳhm unheñ bhī rafū kī 'ādat hai
maiñ kyā karūñ ki mirī chup unheñ rakhe masrūr
maiñ kyā kahūñ ki mujhe guftugū kī 'ādat hai
kahā ki mujh ko tirī paḌ ga.ī hai 'ādat sī
milā javāb tujhe fāltū kī 'ādat hai
chaman meñ paikar-e-ḳhushbū mile ka.ī 'āmir'
pa kyā karūñ ki usī mushkbū kī 'ādat hai
ek aarzu hi sahi aarzu ki 'adat hai
ki chashm-e-dil ko usi KHub-ru ki 'adat hai
na Dar ai 'ishq tu jari rakh imtihan apna
janab-e-dil ko zara hao-hu ki 'adat hai
unhin se mujh ko bhi hai shauq zaKHm khane ka
laga ke zaKHm unhen bhi rafu ki 'adat hai
main kya karun ki meri chup unhen rakhe masrur
main kya kahun ki mujhe guftugu ki 'adat hai
kaha ki mujh ko teri paD gai hai 'adat si
mila jawab tujhe faltu ki 'adat hai
chaman mein paikar-e-KHushbu mile kai 'amir'
pa kya karun ki usi mushkbu ki 'adat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.