ek aarzu nazar se jhalakti zarur hai
ek aarzu nazar se jhalakti zarur hai
Sahabzada Meer Burhan Ali Khan Kaleem
MORE BYSahabzada Meer Burhan Ali Khan Kaleem
ik aarzū nazar se jhalaktī zarūr hai
dil ke qarīb barq chamaktī zarūr hai
mohtāt chashm-e-shauq rahe laakh bazm meñ
mauj-e-sharāb-e-jām chhalaktī zarūr hai
hangāma-e-sukūt meñ hai rabt-e-soz-e-ġham
rātoñ meñ din kī aag dahaktī zarūr hai
zo.am-e-shu.ūr kaif anā lutf āgahī
is be-ḳhudī meñ fikr bahaktī zarūr hai
chaltī hai jab bhī dil meñ havā tajrabāt kī
shāḳh-e-gul-e-shu.ūr mahaktī zarūr hai
sapnoñ ke is khañDar meñ shab-e-ġham ke saaz par
parchhā.īñ sī kisī kī thiraktī zarūr hai
soz-e-jafā to māñge hai shabnam nigāh kī
varna ye dhīmī aañch bhaḌaktī zarūr hai
sañvlā na jaa.e chāñd tasavvur kī raat kā
pichhle kī chāñdnī bhī chaTaktī zarūr hai
chhuptī hai kab chhupāne se koī kasak 'kalīm'
rang-e-ġhazal se tere jhalaktī zarūr hai
ek aarzu nazar se jhalakti zarur hai
dil ke qarib barq chamakti zarur hai
mohtat chashm-e-shauq rahe lakh bazm mein
mauj-e-sharab-e-jam chhalakti zarur hai
hangama-e-sukut mein hai rabt-e-soz-e-gham
raaton mein din ki aag dahakti zarur hai
zoam-e-shuur kaif ana lutf aagahi
is be-KHudi mein fikr bahakti zarur hai
chalti hai jab bhi dil mein hawa tajrabaat ki
shaKH-e-gul-e-shuur mahakti zarur hai
sapnon ke is khanDar mein shab-e-gham ke saz par
parchhain si kisi ki thirakti zarur hai
soz-e-jafa to mange hai shabnam nigah ki
warna ye dhimi aanch bhaDakti zarur hai
sanwla na jae chand tasawwur ki raat ka
pichhle ki chandni bhi chaTakti zarur hai
chhupti hai kab chhupane se koi kasak 'kalim'
rang-e-ghazal se tere jhalakti zarur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.