ek abr sa KHayal ka chhaya ki kya hua
ik abr sā ḳhayāl kā chhāyā ki kyā huā
qatra kisī kī yaad kā Tapkā ki kyā huā
yuuñ sūkhe sūkhe paat pe us ne rakhe qadam
juuñ maiñ ne apnā she'r sunāyā ki kyā huā
kyoñ aaj dast-basta junūñ de rahā hisāb
dekho ḳhirad ne hashr uThāyā ki kyā huā
thī kā.enāt-e-huzn meñ halkī sī raushnī
vo āḳhirī sitāra bhī TuuTā ki kyā huā
aañsū bhī ek aah se nikle vo muskurā.e
kyā kyā huā na us ne jo pūchhā ki kyā huā
ik ḳhvāb-e-ḳhush-ḳhirām tasavvur ke dasht meñ
'asrār' tujh ko DhūñDne niklā ki kyā huā
ek abr sa KHayal ka chhaya ki kya hua
qatra kisi ki yaad ka Tapka ki kya hua
yun sukhe sukhe pat pe us ne rakhe qadam
jun main ne apna she'r sunaya ki kya hua
kyon aaj dast-basta junun de raha hisab
dekho KHirad ne hashr uThaya ki kya hua
thi kaenat-e-huzn mein halki si raushni
wo aaKHiri sitara bhi TuTa ki kya hua
aansu bhi ek aah se nikle wo muskurae
kya kya hua na us ne jo puchha ki kya hua
ek KHwab-e-KHush-KHiram tasawwur ke dasht mein
'asrar' tujh ko DhunDne nikla ki kya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.